Tasty Biryani Banane Ka Asan aur Sahi Tarika

biryani banane ka tarika, biryani banane ka simple tarika, biryani banane ka asan tarika, biryani banane ka sahi tarika, tasty biryani banane ka tarika
Kya aap bhi meeri tarah un logon mein shamil hai jin ko biryani ka naam sunte hi munh mein pani aa jata hai agar aapka jawab ha main hai, tu aap bhi e meri tarah biryani ke bahut ziyada shaukeen hai aur aap wahid nahin jo biryani ki shaukeen hai balke puri duniya mein biryani ke shaukeen hazrat paye jaate hain. bacche, naujawan har ek biryani ko pasand karta hai.
Es post mein hum aapko bahut hi simple tarike se biryani banane ka tarika bataenge. Biryani banane ka tarika bahut hi aasan aur sada sa hay. Es post ko parne ke bad bahut hi aasan aur simple tarike se tasty biryani apne Ghar walon ke liye banane mein kamyab rahenge. Biryani banane ke liye jo ashiya darkar hain unki list niche gi ja rahi hai aap es ko note farma lein.

Biryani Banane Ke Liye Darkar Ashiya

Ghost 1 kilo (Chicken, Mutton yah Beef ka bhi le sakte hain)
Chawal 1 kilo
Aalu 1 kilo
Pyaz aadha pao
Lehson aadha Chheetak
Adrak aadha Chheetak
Dahi 1 pao
Nariyal pisa hua 4 chammach
Garam masala hasbe zaika
Namak hasbe zaika
Lal mirch hasbe zaika
Ghi 1 pao

Biryani Banane Ka Tarika

Ghi mein pyaz ko badami rang hone tak bhon lain. Phir ghosht dal kar bhon lain. Jab khub bhon jae tu lehsan, adrak, dahi, lal mirch dal den. Dahi Ka pani khush ho jane par nariyal dal kar ghosht ko galne dain. Jab gosht gal jaaye tu sabut gram masala dal dain. Chawal ko namak dal kar do kanni ubal lain. Ab ek dusri deegchee mein chawal dal kar upar se gosht ka salan dal kar teh laga lain aur 15 minut ke liye dam per laga kar chhor den. Testi Biryani taiyar hai khubsurat tarike se garnish kar kar mehmanon ke samne pesh karen.
Tasty Biryani Banane Ka Asan aur Sahi Tarika Tasty Biryani Banane Ka Asan aur Sahi Tarika Reviewed by Admin on April 01, 2020 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.