Most Popular and Best Quote in Urdu

Har zabaan mein quote ki ahmiyat hoti hai. Quote woh mukhtasir se jumlay hotay hain jo insani zindagi mein ghaira asar daaltay hain. Yahan hum naay aap doston ke liye behtareen Urdu quote ka qeemti khazana jama kya hai. Hamein yaqeen hai yeh quote Urdu mein aap ko pasand ayen ge. Un quote ko image mein bhi dala hai taakay aap ko parhnay mein aasani rahay aur dekhnay mein bhi aap ko khobsorat lagey. Ji do doston enjoy kijia most popular and best quote in Urdu.

Most Popular and Best Quote in Urdu

quote in urdu
Jaany walon ko rasta dijiye vaastaa nahi
quote in urdu
Sab ko aaccha samajh lena yahi sab se buri aadat hai meri
quote in urdu
Jab khud hi apni ahmiyat batani parre to samajh jayen aap ki koi ahmiyat nahi
quote in urdu
Jo tum se nahi ho raha usay allah azzwajal ke hawalay kar do aur phir allah ki rehmat dekho
quote in urdu
Kisi ko ghalat samajhney se pehlay uss ke halaat zaroor jaan liya karo
quote in urdu
Har shakhs saneha hai, har zaat ik kahani hai
Baal safaid karne mein zindagi nikal jani hai, kalay to adhay ghantay mein bhi ho jatay hain
Par kha bohat hai logon ne par samgha kisi ne nahi
Khobsorat chehra bhi boorha ho jata hai, par kashish jism bhi aik din dhal jata hai, lekin aik achchhaa insaan hamesha achchhaa insaan hi rehta hai
Suneney mein aaya hai mard ki sab se barri badsoorti is ki khaali jaib hai
Dukh ko wohi mehsoos kar sakta hai jis ne khud aisa hi dukh dekha ho
Hum sab rehtay to aik hi duniya mein hain lekin sab ki duniya allag allag hai
Namak ki terhan hogaye hain hum, apne hi log hasb zayega istemaal karte hain
Behtareen hai woh rasta jis ki manzil allah azzwajal ki taraf le jaye
Woh bulandi kis kaam ki, jis pay insaan charrhey aur insaaniyat se grjaye
Hosla afzai karna seekhia pareshan to saari duniya karti hai
Quran hi to dil ka sukoon hai
Dono soorten yaqeen ki hain koi allah azzwajal ke liye sab kuch chore deta hai to koi allah azzwajal par sab chore deta hai
Hazaar takleifein hain magar sukoon dainay wala sirf mera rab azzwajal hai
Kuch baton se la ilmi hi behtar hoti hai kyunkay maloom honay par hum dukh ke darya mein utar jatay hain
Jab poori duniya aap se rukh mourr le to sirf appki maa aap ke liye khari rehti hai
Mein ne kal shab chahton ki sab kitaaben phaar den sirf aik kaghaz pay likha lafz maa rehne diya
Ameer ghareeb ki behas nahi, har ensaan back waqt Ameer bhi hai aur ghareeb bhi, jo apne naseeb par khush ho wohi Ameer hai jis ensaan ki aarzoyeen haasil se ziyada ho woh ghareeb hi hai

Bad zubani, bad kalami aur fehash goi se aap nah sirf apna Waqar tabah karte hain balkay un logon ki bhi tauheen karte hain jinhon ne aap ki tarbiyat ki
Kabhi kabhi bohat chup hojane ko dil chahta hai aur dil chahta hai ke hum kuch nah bolein, kuch nah kahin aur samnay wala hamaray karb ko jaan le aur hamein isi khamoshi se samaitt le
Teen khoobiyan ensaan ko bakmal bana deti hain, thanda dimagh, meethi zabaan aur naram dil
Woh ehsas bohat hi allag hota hai jab Allah ki mohabbat ko mehsoos karte hue aankhon se ansoo behna shuru ho jatay hain
Pani pakizgee ka dosra naam hai, har aik ko pak kar deta hai, har gunah dho deta hai. haya aur pakizgee kabhi bhi pani ke sath dhul kar behti nahi. chehray par hamesha saji rehti hai make up dhul kar behta hai to chehra mazeed makrooh lagnay lagta hai lekin parwah kisay hoti hai? pani wujood ko dho deta hai pak kardaita hai lekin rooh ko pakizgee nahi day sakta, khayalat ko dho kar shafaaf nahi karsaktha, is muamlay mein pani be bas hai
Sakht lehjey ke sath tanqeed logon ki anaa jagati hai aur naram lehjey se tanqeed logon ke zameer ko jagati hai
Kisi ke maazi par is ki tazleel karne se pehlay yeh soch lau ke is ka maazi tumhara mustaqbil nah ban jaye 
Most Popular and Best Quote in Urdu Most Popular and Best Quote in Urdu Reviewed by Admin on April 02, 2020 Rating: 5

1 comment:

  1. The website is looking bit flashy and it catches the visitors eyes. Design is pretty simple and a good user friendly interface. synonym for essay

    ReplyDelete

Powered by Blogger.