Golden quote Urdu ka munfarid aur behtareen collections quote Urdu ke chahanay walon ke liye payshay khidmat hai. Yahan aap ko mukhtalif qisam ke topic par quote Urdu milein ge. Jis mein motivational quote, attitude quote, amazing quote, heart touching quote waghera waghera. Hamari koshish yahi hai ke aisay quote shaamil kiye jayen jin se aap ko kuch nah kuch naya seekhnay ko miley. En quote ki madad se aap apni shakhsiyat aur kirdaar mein behtari laa saken. Hamein umeed hai ke aap hazraat ko yeh Urdu quote ki collections pasand aeye gi.
Pata nahin yah burai kyon itni wazandar hoti hai lakhon achchaiyon per ghalba pajati hai hum insan ko kisi ek burai ki vajah se iski lakhon achchaiyon ko bhula dete hain. Phir wohi ek burai dil mein sada zinda rahti hai magar achchaiyah zindagi bhar ke liye mit jaati hain.
Naseeb se zyada kimati Dua hoti hai kyunki jab jindagi mein sab kuchh badal jaaye tab insan ke paas Dua bachti hai jo naseeb badal deti hai.
Dusron ke achche hone Ka intezar mat karo, balke unhen achcha bankar sikhao ke achcha insan kaisa hota hai.
Kisi ka dil itna mat dukhao ke woh Allah azzawajal ke samne tumhara naam le kar ro pare kyunke tute hue dil se nikali aah aarush tak jaati hai.
Rishte aur mausam donon ek jaise hote hain kabhi had se ziyada acche aur kabhi bardasht se bahar faraq bus itna hai ke mausam jisham ko taklif deta hai aur rishte ruh ko.
Har tarikh raat ke bad subah namoodar hona hi hoti hai isliye pur ummid raho Allah ko pur ummid log bohut pasand hai.
Apni taraf se bharpur koshish kijiye, sakht mehnat kijiye, tarika sahi istemal kijiye, Dua kijiye, pur ummid rahiye aur natija Allah per chhod dijiye.
Khush fehmi ki ainak jab utarti hai to har cheez saaf dikhai deti hai hata ke apni auqat bhi kamyab wohi hai jo es ainak ko waqt se pahle utaar le.
Jitni zahanat bat kehne ke liye darkar hoti hai, usse dugni zahanat dusre shakhs ki baat sunne aur samajhne ke liye darkar hoti hai.
Achche insan ke sath achche raho lekin bure ke liye bure mat bano kyunke tum pani se khoon saaf kar sakte ho per khoon se khoon nahin.
Shukar hai maut sab ko aati hai warna aamir is baat ko mazak bana lete ke gharib tha isiliye mar gaya.
Jo aurat akalmand hoti hai woh shahar ki pasand ko apni pasand shahar ki na pasand ko apni na pasand banakar shohar Ke dil per raj karti hai.
Jab koi hath aur sath donon chhor deta hai tab Allah azzawajal koi na koi ungali pakarne wala bhej hi deta hai.
Golden Quote Urdu Collection
Reviewed by Admin
on
April 16, 2020
Rating:
good content bro
ReplyDelete