Yahan hum aap ko Aqwal e Zareen ka behtareen collections paish kar rahay hain. Hamein umeed hai yeh Aqwal e Zareen aap ki zindagi ko behtar bananay mein madad karen ge. Yeh Aqwal e Zareen aap khud bhi parheen aur doosron ke sath bhi laazmi share karen taakay woh bhi apni zindagi ko behtar bana saken.
Best Aqwal e Zareen Collection
Achay log sarrak kinare lagi roshiniyon ki manind hotay hain jo faaslay to kam nahi karte albata rastay ko, chalne walon ke liye aasaan zaroor bana dete hain
Har kamyaab shakhs ke paas aik takleef da kahani hoti hai aur har kahani ka injaam kamyabi hoti hai is liye takleef ko bardasht karne ki aadat daalo aur kamyabi ke liye tayyar ho jayo
Jab naakhun barh jatay hain to naakhun katay jatay hain ungelian nahi, bilkul isi terhan jab kisi rishte mein ghalat fehmiya peda ho jati hain to ghalat fehmiya khatam karni chahiye rishta nahi
Zamane ka shikwah nah karo balkay khud ko badlo kyunkay! paon ko gandagi se bachanay ka tareeqa joota pehnana hai nah ke saaray shehar mein qaleen bichana
Mehnat itni khamoshi se karo ke tumhari kamyabi shore mchade
Jab taleem ka bunyadi maqsad nokari ka husool ho to muashray mein nokar hi peda hotay hain rehnuma nahi
Darakht jitna ouncha hoga is ka saya itna hi kam hoga, is liye ouncha ban'nay ke bajaye bara ban'nay ki koshish karo
Mohabbat aur dosti yeh do cheeze har tufaan ka muqaabla kar sakti hain magar aik cheez un dono ke tukre tukre kar sakti hai aur woh hai ghalat fehmi
Maa baap ki takleef ko nazar andaaz mat kijiyej yeh jab bhichar jatay hain to resham ke takiye par bhi neend nahi aati
Jab bhi kkhuda se dua mango to naseeb mango aqal nah mango kyunkay mein ne bohat se aqal walon ko naseeb walon ke paas ghulami karte dekha hai
Do chehray insaan kabhi nahi bhoolta aik mushkil mein sath dainay wala aur dosra mushkil mein sath chore jane wala
Gheiron se baatein sun kar apnon se behas nahi karte
Best Aqwal e Zareen Collection
Reviewed by Admin
on
March 07, 2023
Rating:
No comments: